Mera pura parivaar jaivik kheti 12 saal se kar raha hai. Main mukhya taur pe apple ugata hun. Uske ilawa naashpati, peach, plum, khurmani, peas, beans, gobhi, zucchini, kheera, broccoli ugata hun.
Jaivik kheti k dwara hamari zameen ki urvarat shakti lambe samay tak bani rehti hai. Ees krshi mein rasaayanon ki jagah pashuyon k mal mootra tatha vanaspatiyon ke aavasesh aadi ka prayog kiya jata hai jisse hamare khaadyaan poshak tatv se paripoorn hota hai. Aaj k yug mein insaan ko apne swasthya ka dhyaan rakhne k liye aur paryavaran ko shudh rakhne k liye jaivik kheti karna aavashyak hai. Main chahta hun ki aap jaivik khana khayen & apni swasthya ka dhyaan rakhen.