Main jaivik kheti 8 saal se karta aa raha hun. Jaivik kheti se hamari lagat bhi kam ho gayee hai aur faslon k rog pratirodhak shamta ko bada deta hai. Pehle toh jaivik faslon ka sahi moolya nahi mil pata tha lekin ab achcha moolya mil jata hai, Bazaar mein jaivik faslon k achche daam dekh kar ab kaafi kisaan jaivik kheti kar rahe hain.
Main mukhya taur pe apple ugata hun. Uske ilawa Nashpati, Plum, Peach, Khurmani, Peas, Beans, Cauliflower, Cucumber, Zucchini, Broccoli bhi ugata hun. Main chahta hun ki aap jaivik khana khayen & apni swasthya ka dhyaan rakhen.